Sunday, June 24, 2012

Main Apne Dil Ka Afsana

Film: Ghungroo
Cast:
Music Director:C Ramachandran
Singer: Lata
Director:
Producer:
Lyrics:
Year: 1952
Based on Raag:
Vocal:
Dedicated to: Bimla Buaji (This was Phupa Ji's favorite and Bau Ji usually sang to his request). A recent find on the net...
Lyrics:

Main apne dil ka afsana suna loon, phir chale jana
Yeh ik chhoti si hasarat hai, mita loon phir chale jana


Ghadi bhar ke liya ruk ja, mera dil todne wale
Tera jalwe nigahon main basa loon, phir chale jana


Mohabat de nahin sakta, magar yeh to ijazat de
Tera kadamo mein do aansu baha loon, phir chale jana

Friday, May 21, 2010

Nain so nain nahi milao

Another great suggestion from Tobi. 60s was the time when these musicals with classical dancing did so well.

Film: Jhanak Jhanak Payal Baje
Cast: Gopi Krishan, Sandhaya
Music Director: Vasant DesaiSinger: Lata & Hemant
Director: V Shantaram
Producer: Rajakamal Kalamandir
Lyrics:
Year: 1955
Based on Raag:
Dedicated to: Family, Rakesh
Lyrics

Lata:
nain so nain naahi milaao \- 2
dekhat soorat aavat laaj, saiyyaan

Hemant:
pyaar se pyaar aake sajaao \- 2
madhur milan gaavat aaj, guiyaan
nain so nain....................................

aa~~aa~~~aa~~~~aa~~
Lata:
khincho kamaan maaro jee baan
rrut hai javaan o mere praan

- ruk kyon gaye?

Hemant:
tunne chori kar li kamaan
kaise maaroon preet ka baan, guiyaan
nain so nain...........................
Lata:
rim-jhim gaaye jharanon ki dhaar
dil ko lubhaaye koyal pukaar

Hemant:
- nahin!

Lata:
- to phir?

Hemant:
jharanon ki dhaaron men teraa sangeet
gaaye koyal, teraa hi geet, guiyaan
nain so nain .........................


Lata:
neele gagan pe jhumenge aaj
baadal ka pyaar dekhenge aaj

Hemant:
baadal naiyyaa hai , bijali patawaar
ham-tum chal den duniyaa ke paar, guiyaan
nain so nain..............................


Thursday, May 20, 2010

Mujhe na sapno se behlao

At request of Tobi, this jewel has been added. This is a non-filmi song.




Film:

Singer: Jagmohan

Dedicated to family and Tobi.

Sawan Ki Raaton Mein

At request of Tobi, this song has been added to the blog and dedicated to him.




Film: Prem Patra

Cast: Sadhana, Shashi Kapoor
Music Director: Salil Chowdhary

Singer: Lata and Talat
Director: Bimal Roy
Producer:
Lyrics: Gulzar
Year: 1962

Based on Raag:

Vocal: http://ww.smashits.com/music/oldies/play/songs/8978/prem-patra/76970/SAWAN-KI-RAATON-MEIN-AISA.html

Dedicated to: Tobi

Lyrics:

Tuesday, March 30, 2010

Mohabbat aaisi dhadkan hai


Film: Anarkali
Cast: Pradeep Kumar, Bina Rai
Music Director:
C Ramchandra
Director:
Nandlal Jaswantlal
Producer:
Lyrics:
Hasrat Jaipri
Year: 1953
Based on Raag:
Lyrics:
is intezaar-e-shauk ko janmon ki aas hai
ik shama jal rahi hai, to vo bhi udaas hai

mohabbat aaisi dhadkan hai, (jo samjhaai nahi jaati) - 2
zubaan par dil ki bechaini, (kabhi laayi nahi jaati) - 2
mohabbat aaisi dhadkan hai

chale aao, chale aao, taqaaza hai nigaahon ka - 2
taqaaza hai nigaahon ka
kisi ki aarzu aaise, (to thukaraayi nahi jaati) - 2
muhabbat aaisi dhadkan hai, (jo samajhaai nahi jaati) - 2
muhabbat aaisi dhadakan hai

(mere dil ne bichaaye hain sajde aaj raahon mein) - 2
sajade aaj raahon mein
jo haalat aashiqui ki hai, (vo batlaayi nahi jaati) - 2
muhabbat aaisi dhadkan hai, (jo samajhaai nahi jaati) - 2
muhabbat aaisi dhadkan hai



Khayalon mein kisi ke




Film: Bawre Nain
Cast: Raj Kapoor, Geeta Dutt
Music Director:
Roshan
Singers: Geeta Dutt, Mukesh
Director:
Producer:
Lyrics:
Kidar Sharma
Year: 1950
Based on Raag:
Vocal:
Dedication: Family
 
Geeta:
(khayalon mein kisi ke, is tarah aaya nahin karte
kisi ko bewafa ke tadpaya nahin karte) 2
Mukesh:
dilon ko raund kar dil apna behlaya nahin karte
jo thukraye gaye ho unko thukraya nahin karte
dilon ko raund kar

Geeta:
(hansi phoolon ki do din chandni bhi chaar din ki hai
chandni chaar din ki hai) 2
mili ho chand si soorat to itraya nahin karte
kisi ko bewafa ke tadpaya nahin karte
khayalon mein kisi ke

Geeta:
(jinhe mitna ho woh mitne se dar jaaya nahin karte
woh dar jaaya nahin karte) 2
mohabbat karnewale gham se ghabraya nahin karte
kisi ko bewafa ke tadpaya nahin karte
khayalon mein kisi ke

Mukesh:
(mohabbat ka sabak seekho, yeh jaakar jalnewalon se
yeh jaakar jalnewalon se) 2
ke dil ki baat bhi lab tak kabhi laaya nahin karte
jo thukraye gaye ho unko thukraya nahin karte
Geeta:
khayalon mein kisi ke, is tarah aaya nahin karte
kisi ko bewafa ke tadpaya nahin karte
khayalon mein kisi ke

jurma-ye-ulafata pe humei


Film: Taj Mahal

Cast: Jeevan, Helen, Pradeep Kumar, Bina Rai, Veena, Madhumati
Music Director: Roshan

Singer: Lata
Director:
Producer:
Lyrics: Sahir Ludhianvi

Year: 1963

Based on Raag:

Youtube: http://www.youtube.com/watch?v=-QZIJWni678&feature=related

Vocal: http://ww.smashits.com/music/oldies/play/songs/628/taj-mahal/35581/Jurm-E-Ulfat-Pe.html

Dedicated to: Manju Jiji

 
Lyrics:
jurma-ye-ulafata pe humei log sajaa dete hain
kaise naadaan hain, sholon ko hawaa dete hain
 
humase diwaane kahee tark-ye-wafaa karate hain ?
jaan jaaye ke rahe, baat nibhaa dete hain
 
aap daulat ke taraajoo mein dilon ko tole
hum mohabbat se mohabbat kaa silaa dete hain
 
takht kyaa cheej hain, aaur laala-o-jawaahar kyaa hain
ishkawaale to khudaee bhee lootaa dete hain
 
hum ne dil de bhee diyaa, yehad-ye-wafaa le bhee liyaa
aap ab shauk se de de jo sajaa dete hain