Sunday, March 28, 2010

Chhota Sa Ghar Hoga

Film: Naukari

Cast:
Music Director: Salil Choudhary
Director:
Producer:
Lyrics: Shailendra
Year: 1954
Based on Raag:
Dedicated to: Chonnu

Lyrics

chhotaa saa ghar hogaa baadalon ki chhaanv mein
aashaa deewaani man mein bansuri bajaaye

ham hi ham chamkenge taaro ke us gaanv mein
aankhon ki roshni har dam ye samjhaaye

chaandi ki kursi pe baithe meri chhoti bahnaa

sone ke sinhaasan pe baithe meri pyaari maan
meraa kyaa main padaa rahoongaa ammi ji ke paanv mein

aa ai re, aa ai re
aa ai re, aa ai re
chhotaa saa ghar hogaa baadalon ki chhaanv mein
aashaa deewaani man mein bansuri bajaaye

meri chhoti bahnaa naazon ki paali shahzaadi

jitni bhi jaldi ho main kar doongaa iski shaadi
achchhaa hai ye balaa hamaari jaaye dooje gaanv mein
achchhaa hai ye balaa hamaari jaaye dooje gaanv mein
aa ai re, aa ai re
aa ai re, aa ai re
chhotaa saa ghar hogaa baadalon ki chhaanv mein
aashaa deewaani man mein bansuri bajaaye

kahegi maan dulhan laa betaa ghar soonaa soonaa hai

man mein jhoom kahoongaa main maan itni jaldi kyaa hai
gali gali mein tere raaj dulaare ki charchaa hai

aakhir koyi to aayegaa in nainon ke gaanv mein
aakhir koyi to aayegaa in nainon ke gaanv mein
aa ai re, aa ai re
aa ai re, aa ai re
chhotaa saa ghar hogaa baadalon ki chhaanv mein
aashaa deewaani man mein bansuri bajaaye
ham hi ham chamkenge taaro ke us gaanv mein
aankhon ki roshni har dam ye samjhaaye

No comments:

Post a Comment