Sunday, March 28, 2010

Tum Agar Mujhko Na Chaho


Film: Dil Hi to Hai

Cast: Raj Kapoor & Nutan
Music Director:
Roshan
Director:

Producer:
Lyrics: Sahir Ludhianvi

Year: 1963

Based on Raag:

Dedicated to: Tauji, Arun

 
 
 
tum agar mujhako na chaaho to koii baat naheen
tum kisii aur ko chaahogii to mushkil hogii
 
ab agar mel naheen hai to judaaii bhii naheen
baat toDi bhi naheen tumane nibhaee bhi naheen
ye sahaaraa bhi bahut hai mere jiine ke liye
tum agar meri naheen ho to paraee bhi naheen
mere dil ko na saraaho to koi baat naheen
gair ke dil ko saraahogi, to mushkil...
 
tum haseen ho, tumhein sab pyaar hi karate honge
main to marataa huuN to kyaa aur bhii marate honge
sab kii aaNkhon mein isi shauq kaa tuufaan hogaa
sab ke siine mein yahi dard ubharate honge
mere Gam mein na karaaho to koi baat naheen
aur ke Gam mein karaahogii to mushkil...
 
phuul ki tarah haNso, sab ki nigaahon mein raho
apni maasuum javaani ki panaahon mein raho
mujhako vo din na dikhaanaa tumhein apni hi qasam
main tarasataa rahuuN tum gair kii baahon mein raho
tum agar mujhase na nibhaao to koi baat naheen
kisi dushman se nibhaaogii to mushkil...

Hari Mirchi Tatia Zalim Na Dalo Re

I remember mummy dancing to this song in various marriages and musical evening. Later she used to limit her dancing due to her hernia problem.


Whoever remembers the wording, please provide the same.



Hari Mirchi Tatia Zalim Na Dalo Re

Aarey wah saiyan re, dekhi tumhari topi

Meri zulfein bigad gayi wah saiyan re

 

Aarey wah saiyan re, dekhi tumhari jooti

Meri chaal hi bigad gayi wah saiyan re

Aarey wah saiyan re, dekhi tumhari topi

Meri zulfein bigad gayi wah saiyan re


Chhota Sa Ghar Hoga



Film: Naukari

Cast:
Music Director: Salil Choudhary
Director:
Producer:
Lyrics: Shailendra
Year: 1954
Based on Raag:
Dedicated to: Chonnu

Lyrics

chhotaa saa ghar hogaa baadalon ki chhaanv mein
aashaa deewaani man mein bansuri bajaaye
chhotaa saa ghar hogaa baadalon ki chhaanv mein
aashaa deewaani man mein bansuri bajaaye
ham hi ham chamkenge taaro ke us gaanv mein
aankhon ki roshni har dam ye samjhaaye

chaandi ki kursi pe baithe meri chhoti bahnaa
chaandi ki kursi pe baithe meri chhoti bahnaa
sone ke sinhaasan pe baithe meri pyaari maan
meraa kyaa main padaa rahoongaa ammi ji ke paanv mein
meraa kyaa main padaa rahoongaa ammi ji ke paanv mein
aa ai re, aa ai re
aa ai re, aa ai re
chhotaa saa ghar hogaa baadalon ki chhaanv mein
aashaa deewaani man mein bansuri bajaaye

meri chhoti bahnaa naazon ki paali shahzaadi
meri chhoti bahnaa naazon ki paali shahzaadi
jitni bhi jaldi ho main kar doongaa iski shaadi
achchhaa hai ye balaa hamaari jaaye dooje gaanv mein
achchhaa hai ye balaa hamaari jaaye dooje gaanv mein
aa ai re, aa ai re
aa ai re, aa ai re
chhotaa saa ghar hogaa baadalon ki chhaanv mein
aashaa deewaani man mein bansuri bajaaye

kahegi maan dulhan laa betaa ghar soonaa soonaa hai
kahegi maan dulhan laa betaa ghar soonaa soonaa hai
man mein jhoom kahoongaa main maan itni jaldi kyaa hai
gali gali mein tere raaj dulaare ki charchaa hai
gali gali mein tere raaj dulaare ki charchaa hai
aakhir koyi to aayegaa in nainon ke gaanv mein
aakhir koyi to aayegaa in nainon ke gaanv mein
aa ai re, aa ai re
aa ai re, aa ai re
chhotaa saa ghar hogaa baadalon ki chhaanv mein
aashaa deewaani man mein bansuri bajaaye
ham hi ham chamkenge taaro ke us gaanv mein
aankhon ki roshni har dam ye samjhaaye



Husn Wale Tera Jawaab Nahin



-->
Film: Gharana (1961)
Cast: Rajender Kumar, Asha Parekh
Music Director:
Ravi
Singer: Rafi & Asha
Director:
S S Vasan
Producer:
Lyrics:
Shakeel Badayuni
Year: 1961
Based on Raag:
Dedication: Daddy
 
Husn Wale Tera Jawaab Nahin,
Koyi Tujh Sa Nahin Hazaaron Mein,
Husn Wale Tera Jawaab Nahin,

Tu Hai Aisi Kali Jo Gulshan Mein,
Saath Apne Bahaar Laayi Ho,
Tu Hai Aisi Kiran Jo Raath Dhale,
Chandni Mein Naahaake Aayi Ho,
Yeh Tera Noor Yeh Tere Jalwe,
Jis Tarah Chand Ho Sitaaron Mein..
Husn Wale Tera Jawaab Nahin...

Teri Aankhon Mein Aisi Masti Hai,
Jaise Chalke Huve Hon Paimaane,
Tere Honton pe voh Khumoshi Hai,
Jaise Bikhre Huve Hon Afsane,
Teri Zulfon Ki Aise Rangath Hai,
Jaise Kaali Ghata Baharon Mein,,
Husn Wale Tera Jawaab Nahin..

Teri Surat Jo Dekhle Shair,
Apne Sheron Mein Taazagi Bhara Le,
Ik Musaphir Jo Tujh Ko Paa Jaaye,
Apne Khwabon Mein Zindagi Bhar Le,
Nagmagar Dundle Agar Tujh Ko,
Dard Bharle Voh Dil Ke Taaron Mein..

Husn Wale Tera Jawaab Nahin,
Koyi Tujh Sa Nahin Hazaaron Mein,
Husn Wale Tera Jawaab Nahin...

Jyotee kalash chhalake




Film: Bhabhi Ki Chudiyan (1961)

Cast:
Music Director:
Sudhir Phadke
Director:
Producer:
Lyrics:
Pt. Naredra Sharma

Year:

Based on Raag: Bhupali

Dedicated to: Family


 
jyotee kalash chhalake
huye gulaabee, laal sunahare
rang dal baadal ke
 
ghar aangan wan upawan upawan
karatee jyotee amariat ke poojan
mangal ghat dhalake, jyotee kalash chhalake
 
paat paat birawaa hariyaalaa
dharatee kaa mukh huaa ujaalaa
sach sapanen kal ke, jyotee kalash chhalake
 
ushaa ne aanchal failaayaa
failee sukh kee sheetal chhaayaa
neeche aanchal ke, jyotee kalash chhalake
 
jyotee yashodaa dharatee gaiyyaa
neel gagan gopaal kanhaiyyaa
shaamal chhabee chhalake, jyotee kalash chhalake

Nainon Mein Badra Chhaaye


-->
Film: Mera Sayaa
Cast: Sadhana, Suni Dutt
Music Director: Madan Mohan
Singer: Lata
Director:
Producer:
Lyrics: Raja Mehndi Ali Khan
Year: 1966
Based on Raag: Bhim Palasi
Dedicated to: Family
 
nainon mein badaraa chhaye, bijalee see chamake haaye
ayese mein balam mohe, garawaa lagaa le
 
madiraa mein doobee aakhiyaan, chanchal hain dono sakhiyaan
dhaltee rahegee tohe, palakon kee pyaaree pakhiyaan
sharamaake dengee tohe, madiraa ke pyaale
 
preamadiwaanee hoo mai, sapanon kee raanee hoo mai
pichhale janam se teree, praem kahaanee hoo mai
aa is janam mein bhee too, apanaa banaa le